chahiye bhi aur nahi bhi
insaan hone ki ye badi mushkil hai
galat hai pata hai , par mann to daudega usi taraf
ye mann kisi aur ne rent diya hai kya mujhe
kuch revolutionary gaane sun lo to lagta hai kuch ukhaad hi lenge
kitabon ne bhi beda garq kiya hai mera
Acche hain wo log jo sochte nahi zyada, ya phir karne ke baad sochte hain
mann ke peeche-peeche chalte hain
warna sahi galat hai hi kya,
kuch kayde, kanoon jo auron ne banaye humne maane
chahiye bhi aur nahi bhi
insaan hone ki ye badi mushkil hai